Qayamat ki Nishanian - Asian Massive Crew Community 2002/2020
Home Control Panel Gallery Chat Room Arcade Eye Candy Projects Multimedia Networking Search Sign Up

Advertisements



★ ♥ ★ A Multicultural Community that unites people from all over the world ★ ♥ ★
Go Back   Asian Massive Crew Community 2002/2020 > Religion & Culture > Islam > Deen Talk
Forgotten Your Password? Register
User Tag List

Reply
 
Thread Tools

Qayamat ki Nishanian
  #1  
Old 06-05-2011
Roohi's Avatar
Roohi
AMC Addict
Roohi is offline
 
Join Date: May 2010
Posts: 1,135
Roohi will become famous soon enough
Country: Roohi's Flag is: Pakistan
My Mood:
Status:
life is beautiful

Qayamat ki Nishanian


Khatim Al Nabiyeen Hazrat Muhammad S.A.W ka zahoor:


Hazrat Anas Bin Malik R.A se marvi hey k Hazoor Nabi Kareem Sallallah o Alaih e Wasalam ne irshad farmaya: Muje aur Qayamat ko is tarah bejha gaya hey jis tarah yeh do (unglian) hein. Aap S.A.W ne shahadat wali aur darmayan wali ungli mila ker ishara farmaya.

Sahih Bukhari Kitab Al Riqaaq baab Bu'ast anna wal sa'at 4504
Sahih Muslim 2950


Hazrat Jabar R.A se marvi hey k Rasul Allah Sallallah o Alaih e Wasalam ne hume khutba dia jis mein Allah Ta'ala ki aisi hamd o sana ki jaisi is kay shayaan e shaan hey phir farmaya: Amma baad ! Sab se sachi baat Allah ki Kitab (Quran) hey, Sab se afzal rasta Muhammad Sallallah o Alaih e Wasalam ka rasta hey, Sab se bad tar cheez bidat hey aur her bidat gumrahi hey phir qayamat ka ziker kertay howay ap ki awaz buland ho gae, Rukhsar mubarak surakh aur ghussa shadeed ho gaya k goya ap kisi lashker se dra rahay hein aur Aap S.A.W ne farmaya (logo !) Qayamat aya chahti hey Muje aur Qayamat ko is tarah bejha gaya hey. Aap S.A.W ne ingasht Shahadat aur darmayan wali ungli mila ker ishara kia bas qayamat subah ko aye ya shaam ko (yani itni qareeb hey) jis shakh ne koi maal chora tu wo is k wursaa ka hey aur jis ne qarz ya maskeen aulad chori wo meray zima hey.


Sahih Muslim Kitab al Jum'ua baab Takhfeef al salat wal khutba 867
Sunan Nisai 1577
Masnad Ahmad 394/3
Ibne Maja 36
Ibne Hibban 10



Hazrat Jubair R.A farmatay hein k Nabi Kareem S.A.W ne farmaya: mere kuch naam hein. Mein Muhammad Sallallah o Alaih e Wasalam hon, Ahmad bhi hon, Hashir bhi hon, mere qadmo per loog jama kiye jayen gy. Mein Mahi hon mere sath Allah Ta'ala Kufar ka khatma farmayen gy aur mein Aqib bhi hon

Muamar ne Imam Zuhri R.H se pucha: Aqib ka kya matlab hey? Farmaya: Jis k baad koi Nabi na ho.

Sahih Bukhari Kitab Al Tafseer Surah Al Saf 3896
Sahih Muslim 2355
Masnad Ahmad 8014
Tirmizi 2840


Hadith e Nabvi S.A.W hey k: Meri aur Qayamat ki misal aisay hey jaisay qareeb al sabqat (barabar k) ghoray hon. Phir farmaya: Meri aur Qayamat ki misal aise hey jaisay koi qoam apne kisi admi ko jasoos bana ker bejhti hey ( k wo inhe aglay halat se mutla kare) aur jab wo (dushman ki) paishqadmi ka khatra mehsoos kerta hey tu wo apne kapray ko hila ker khabardar kerta hey k tum ghairay mein ho, tum khatray mein ho. Phir Aap S.A.W ne farmaya: mein b isi tarah (tume Qayamat k baray mein) mutla kerne wala hon.

Masnad Ahmad 414/5



INSHIQAAQ AL QAMAR


اقْتَرَبَتِ السَّاعَةُ وَانْشَقَّ الْقَمَرُ
قیامت قریب آ پہنچی اور چاند شق ہوگیا
وَإِنْ يَرَوْا آيَةً يُعْرِضُوا وَيَقُولُوا سِحْرٌ مُسْتَمِرٌّ
اور اگر (کافر) کوئی نشانی دیکھتے ہیں تو منہ پھیر لیتے ہیں اور کہتے ہیں کہ یہ ایک ہمیشہ کا جادو ہے[/COLOR

Surah Al Qamar 1,2


Hazrat Anas Bin Malik R.A farmatay hein k " Ahle Makkah ne Nabi S.A.W se mujzay ka mutalba kia tu Nabi S.A.W ne inhe chand ka 2 tukray hona dikha dia aur aisa 2 martaba howa.

Sahih Bukhari Kitab Al Munaqib baab Sawwal al mushrikeen in ureehim ayat fa raahim inshiqaaq al qamar.3637
Sahih Muslim 2800



Hazrat Jubair R.A farmatay hein k Nabi S.A.W k dor mubarak mein chand 2 tukron mein taqseem ho gaya aik tukra is pahar per aur dosra tukra is (dosray) pahar per (chala gaya). Logon ne kaha k Muhammad Sallallah o Alaih e Wasalam ne hum per jado ker dia magar is ka jado sari duniya k insano per nahe chal sakta.

Masnad Ahmad 116/4
Sunan Tirmizi 3289
Tibri 545/11
Nabi Sallallah o Alaih e Wasalam ki Wafaat


Hazrat Aof bin Malik R.A farmatay hein k mein Nabi Kareem S.A.W k pas gaya jab k aap S.A.W apne khaimay mein tashreef farma thay. Mein ijazat lay k ander ja betha tu aap S.A.W ne irshad farmaya: Qayamat se pehle 6 (alamtien) yad rakho jin se pehli tumhare Nabi ki Wafaat hey.

Sahih Bukhari Kitab al Jaziya wal mwada'at, baab ma yahzur min al fadr 3176
Abu Daood 5000
Ibne Maja 4091


Wasla Bin Asqa'a farmatay hein k Rasul Allah S.A.W hamari taraf niklay aur farmaya: Kya tum yeh khayal rakhte ho k mein tum sab se akhri mein wafat paon ga? Khabardar! mein tu tum se pehle he wafat pa jaon ga phir tum groh dar groh mere peche ao gy jab kay tum apas mein aik dosre ko halaak kro gy.

Masnad Ahmad 149/4
Sunan Darmi29/1


HER GHAR MEIN ISLAM DAKHIL HOGA

Hazrat Miqdad bin Aswad R.A se marvi hey k mein ne Rasul Allah S.A.W ka yeh irshad e garami sama'at kia:
Zameen per koi ghar ya khaima aisa nahe rahay ga jis mein Allah Ta'ala deen islam dakhil na farma dein gy. Izzat walay (kay ghar is) ki izzat k sath ya zillat walay k han zillat k sath (yani) ya tu Allah Ta'ala in logon ko is tarah izzat dein gy k inhe ahle islam mein se ker dein gy ya inhe zaleel ker dein gy k wo is (deen) k liye zemi aur mehkoom ban jayen gy.



Masnad Ahmad 5/6
Hakim 476/4
Sunan Al Kubra 181/9
Tareekh Al Kabeer 151/2
Majma Al Zawaid 8/6




Hazrat Tameem Dari R.A farmatay hein k mein ne Rasul Allah S.A.W se suna
yeh deen her is jaga tak pohanchay ga jahan tak lail o nahar ki gardish mojod hey. Allah Ta'ala her (khaimay) kachay aur pakkay ghar mein isay izzat walay ki izzat aur zillat walay ki zillat k sath dakhil farma dein gy. Izzat panay walay Muslman ban jayen gy jab kay zillat panay walay kafir he rahien gy.

Hazrat Tameem R.A farmatay hein k mein ne apne khandan mein iss ka tajurba ker lia hey jo Muslman ho gye onho ne sharaf o izzat ka muqam pa lia aur jo kafir he rahay wo zaleel o khuwaar ho k jaziya dene per majboor howay.



Masnad Ahmad 144/4
Hakim 477/4
Sunan Al Kubra 181/9
Tareek Al kabeer 150/2
Majma Al Zawaid 7/6

HER TARAF AMAN O AMAAN HOGA



Hazrat Adii Bin Khatim R.A se marvi hey k mein Nabi Kareem S.A.W ki khidmat mein hazir tha k aik sahib aye aur Hazoor S.A.W se fiqar o faqay ki shikayat ki. Phir dosray sahib aye aur rastay ki bad-amni ki shikayat ki. Aap S.A.W ne farmaya Aadii! tum ne muqaam e Haira dekha hey? (jo Koofa k pas aik basti hey) mein ne arz kia k mein ne dekha tu nahe albatta is ka naam mein ne suna hey. Aap S.A.W ne farmaya k agar tumhare zindgi kuch aur lambi hoe tu tum dekho gy k aik aurat hodaj mein tanha safar kare ge aur (Makkah pohanch ker) Kabbah ka tawaf kare ge jab kay isay Allah k siwa kisi ka khoaf na hoga. Mein ne (hairat se) apne dil mein kaha phir qabeela "Tayy" k wo dako kahan hongy jinho ne shehron mein (loot maar ki) aag sulgaa rakhi hey?
Hazoor S.A.W ne farmaya: Agar tum kuch deer mazeed zinda rahay tu Qisra k khazanay (tum per) kholay jayen gy. Mein (hairat se) bol utha. Kisra Bin Harmaz (shah e Iran)! Aap S.A.W ne farmaya han Kisra Bin Harmaz aur agar tum kuch din mazeed zinda rahay tu yeh b dekho gy k aik admi apne hath mein sona chandi bhar k niklay ga aur isay kisi aisay admi ki talash hoge jo (iski zakat) qabool ker lay lekin isay koi aisa admi nahe milay ga jo isay qabool ker lay.
Hazrat Adii R.A farmatay hein k mein ne hodaj mein bethi hoe tanha aurat ko tu khud dekh lia k (aurat) Haira se safar ker k nikli aur is ne Kabbah ka tawaf kia aur isay Allah kay siwa aur kisi ka (rastay mein) khoaf nahe tha. Mujahideen ki is jamaat mein b mein khud shareek tha jinho ne Kisra Bin Harmaz k khazanay fatah kiye aur agar tum loog kuch arsa mazeed zinda rahay tu yeh b dekh lo gy jo Hazoor S.A.W ne farmaya k aik shakhs apne hath mein (zakat ka maal sona chandi) bhar ker niklay ga (magar isay lenay wala koi nahe milay ga k her koi khushhaal hoga).


Sahih Bukhari Kitab ul Munaqib 3595


Hazrat Khabaab Bin Ar't R.A farmatay hein k hum ne Allah k Rasul S.A.W se shikayat ki. Aap S.A.W is waqt apni chadar k saharay Kabbah k saye mein bethay howay thay. Hum ne arz kia k aap hamare liye madad talab kyon nahe kertay? Hamaray liye Allah se dua kyon nahe mangtay? (hum kafiron ki eeza rasani se tang aa chukay hein)
Rasul Allah S.A.W ne farmaya:
(iman lanay ki saza mein) tum se pehle ummaton k logon k liye garha khoda jata aur inhe is mein phank dia jata phir in k sir per aara rakh ker in k 2 tukray ker diye jatay phir b wo apne deen se na phirtay. Lohay k kanghay in ka gosht mein dhansa ker in ki hadion aur pathon per phairay jatay phir b wo apne iman per qayem rehtay. Allah ki qasam yeh amar (Islam) kamal ko pohanchay ga aur aik waqt aye ga k aik sawar muqam e San'aa se Hazar Moot tak safar karay ga (lekin raston k pur aman hone ki waja se) isay Allah k siwa aur kisi ka dar na hoga ya sirf bhariye ka dar hoga k kaheen is ki bakrion ko na kha jaye lekin tum loog jald baazi se kaam letay ho.


Sahih Bukhari Kitab al Munaqib 3612


Note: Qayamat ki yeh nishanian sahaba k dor mein puri ho chuki hein.

Aman o Amaan ka aik sunehri door ummat e Muslima dekh chuki hey jab k iss tarah ka dosra sunehri aur yadgar dor ab Hazrat Esa A.S aur Imam Mehdi Rahimahullah k zahoor k baad muslmano ko naseeb hoga. IN SHA ALLAH


A look from you is as blinding as the sun
As stunning as your eyes I lose myself in
A look from you is as pure as the clear blue sky
When I'm with you
Every minute I'm not around you
I feel like I left something behind.
Every time I'm not looking at you
I feel like I am blind
~


"Sade Jism Ne Vakh Vich Is Duniya ,
Chalo Maniya Tahiyo Aeh Duriya Ne
Par Milde Jad Appan Har Janam De Vich,
Fer Is Janam Das Ki Majboriyan Ne"
Reply With Quote

5 Lastest Threads by Roohi
Thread Forum Last Poster Replies Views Last Post

Reply
Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Qayamat ki Nishanian Roohi Deen Talk 0 07-04-2011 23:46



Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off

Forum Jump

Bookmarks

 
New To Site? Need Help?

All times are GMT +1. The time now is 14:42.

www.Asian-Massive-Crew.co.uk  | www.Asian-Massive-Crew.com  | www.AsianMassiveCrew.com  |   www.AsianMassiveCrew.co.uk  

 Graphics, Design & Layout  by Web Designerz - The Power To Create..!

Copyright © 2002 Onwards  www.Kalki.co.uk  | Website Hosted by Reality Host

   

DISCLAIMER: Every reasonable effort has been made, to make this site a peaceful yet an entertaining venue. 
The creator nor it's staff shall have neither liability nor responsibility to any person, company or entity whatsoever, 
with respect to any loss, damages or misunderstandings arising from any information or speculation contained
in any of the topics and its updates. Each member is responsible for his/her own thoughts of action when expressed!